yun meri duaon mein sada kanp rahi hai
yuuñ merī duāoñ meñ sadā kaañp rahī hai
jaise ki havāoñ meñ ridā kaañp rahī hai
hai tere karam se hī ḳhatā-kār kī baḳhshish
har saañs mirī rabb-e-ulā kaañp rahī hai
dhoī thī zabāñ garche mai-e-lāla se maiñ ne
lete hue kyoñ naam tirā kaañp rahī hai
kahne ko tujhe dekh hī letī haiñ nigāheñ
phir taur pe kyoñ tab.a-e-safā kaañp rahī hai
guzrī hai nasīm-e-saharī aaj ye kaise
har shāḳh tah-e-bād-e-sabā kaañp rahī hai
aadam kī duā hogī ye maqbūl sunā thā
phir pesh-e-ḳhudā kis kī navā kaañp rahī hai
yun meri duaon mein sada kanp rahi hai
jaise ki hawaon mein rida kanp rahi hai
hai tere karam se hi KHata-kar ki baKHshish
har sans meri rabb-e-ula kanp rahi hai
dhoi thi zaban garche mai-e-lala se main ne
lete hue kyon nam tera kanp rahi hai
kahne ko tujhe dekh hi leti hain nigahen
phir taur pe kyon taba-e-safa kanp rahi hai
guzri hai nasim-e-sahari aaj ye kaise
har shaKH tah-e-baad-e-saba kanp rahi hai
aadam ki dua hogi ye maqbul suna tha
phir pesh-e-KHuda kis ki nawa kanp rahi hai
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 163)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.