yun muKHatib na hon kah kar mujhe ulTa sidha
yuuñ muḳhātib na hoñ kah kar mujhe ulTā sīdhā
naam le sakte nahīñ aap mirā kyā sīdhā
'mīr' ke ḳhaas murīd aap haiñ ham maan ga.e
koī shāgird nahīñ aap kā chaltā sīdhā
ham zamīñ par haiñ numā.inda ḳhudā ke nāseh
kījiye aap kisī aur kā qibla sīdhā
nāma-bar ko jo shahīd us ne kiyā achchhā kiyā
ḳhat mirā huur talak ḳhuld meñ pohñchā sīdhā
is tarah ḳhvār na hotā mirī jaañ lene ko
us ke dil meñ malak-ul-maut jo jaatā sīdhā
ham gunahgār hue hazrat-e-zāhid kyūñkar
na kiyā ham ne jo ulTā huā juutā sīdhā
vo to kahiye ki hadaf aap hilā hogā kahīñ
aap ne varna nishāna to liyā thā sīdhā
vo bhī tanqīd kiyā karte haiñ ham par 'hāris'
misra' paḌhnā nahīñ aatā jinheñ sīdhā sīdhā
yun muKHatib na hon kah kar mujhe ulTa sidha
nam le sakte nahin aap mera kya sidha
'mir' ke KHas murid aap hain hum man gae
koi shagird nahin aap ka chalta sidha
hum zamin par hain numainda KHuda ke naseh
kijiye aap kisi aur ka qibla sidha
nama-bar ko jo shahid us ne kiya achchha kiya
KHat mera hur talak KHuld mein pohncha sidha
is tarah KHwar na hota meri jaan lene ko
us ke dil mein malak-ul-maut jo jata sidha
hum gunahgar hue hazrat-e-zahid kyunkar
na kiya hum ne jo ulTa hua juta sidha
wo to kahiye ki hadaf aap hila hoga kahin
aap ne warna nishana to liya tha sidha
wo bhi tanqid kiya karte hain hum par 'haaris'
misra' paDhna nahin aata jinhen sidha sidha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.