yun na begana raho git sunati hai hawa
yuuñ na begāna raho giit sunātī hai havā
dil kī sargoshī suno giit sunātī hai havā
zindagī saaz hai is saaz pe naġhme chheḌo
tum bhī kuchh ḳhvāb buno giit sunātī hai havā
raat ke pichhle pahar ḳhvāb-libāda taj kar
aaj tum ḳhud se milo giit sunātī hai havā
raah meñ ā.eñgī chaTTāneñ bahut sī lekin
mauj ke saath baho giit sunātī hai havā
shab ke sāhil pe ka.ī jugnū dikhā.ī deñge
koī ġhamgīn na ho giit sunātī hai havā
aisī chāhat meñ nahīñ koī qabāhat lekin
apnā bhī dhyān rakho giit sunātī hai havā
ḳhushbuoñ ko koī taqsīm kahāñ kar paayā
sarhadeñ toḌ bhī do giit sunātī hai havā
manzileñ baḌh ke tire qadmoñ kā bosa leñgī
ye safar tai to karo giit sunātī hai havā
thak ke jo baiThe to Tolī se bichhaḌ jāoge
aage hī baḌhte chalo giit sunātī hai havā
yun na begana raho git sunati hai hawa
dil ki sargoshi suno git sunati hai hawa
zindagi saz hai is saz pe naghme chheDo
tum bhi kuchh KHwab buno git sunati hai hawa
raat ke pichhle pahar KHwab-libaada taj kar
aaj tum KHud se milo git sunati hai hawa
rah mein aaengi chaTTanen bahut si lekin
mauj ke sath baho git sunati hai hawa
shab ke sahil pe kai jugnu dikhai denge
koi ghamgin na ho git sunati hai hawa
aisi chahat mein nahin koi qabahat lekin
apna bhi dhyan rakho git sunati hai hawa
KHushbuon ko koi taqsim kahan kar paya
sarhaden toD bhi do git sunati hai hawa
manzilen baDh ke tere qadmon ka bosa lengi
ye safar tai to karo git sunati hai hawa
thak ke jo baiThe to Toli se bichhaD jaoge
aage hi baDhte chalo git sunati hai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.