yun na ho ab ki tera gham mujhe banjar kar de
yuuñ na ho ab ki tirā ġham mujhe banjar kar de
aaj chhū kar mujhe sahrā se samundar kar de
tang-o-tārīk zamānoñ meñ rahūñgī kab tak
chashm-e-bīnā meñ jagah de ke munavvar kar de
koī aaseb mire dil meñ makīñ hai kab se
ai ḳhudā tū hī mire haal ko behtar kar de
kaash is raat meñ ye āḳhirī ummīd mirī
naqsh ban ban ke mirī aañkh ko patthar kar de
merī āñkhoñ meñ samundar kā chalan jaarī ho
kurra-e-arz kā ġham de ke sitamgar kar de
yun na ho ab ki tera gham mujhe banjar kar de
aaj chhu kar mujhe sahra se samundar kar de
tang-o-tarik zamanon mein rahungi kab tak
chashm-e-bina mein jagah de ke munawwar kar de
koi aaseb mere dil mein makin hai kab se
ai KHuda tu hi mere haal ko behtar kar de
kash is raat mein ye aaKHiri ummid meri
naqsh ban ban ke meri aankh ko patthar kar de
meri aankhon mein samundar ka chalan jari ho
kurra-e-arz ka gham de ke sitamgar kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.