Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun na KHud mein chup si bhar lo mera phone to uThao

Nawev Kiyani

yun na KHud mein chup si bhar lo mera phone to uThao

Nawev Kiyani

MORE BYNawev Kiyani

    yuuñ na ḳhud meñ chup bhar lo mirā phone to uThāo

    jo gila hai mujh se kar lo mirā phone to uThāo

    jo ġhubār hai dil meñ vo nikālnā behtar

    bhale mujh pe tum biphar lo mirā phone to uThāo

    mujhe apnā haal kah do ki karūñ maiñ ġham ġhalat kuchh

    mire dard ḳhabar lo mirā phone to uThāo

    yuuñ alag thalag rahogī to baḌhegī aur uljhan

    na lahū meñ yuuñ bhañvar lo mirā phone to uThāo

    mirī zindagī se chāho ho agar uḌaan bharnā

    mire saare bāl-o-par lo mirā phone to uThāo

    ye haqīqatoñ ke daldal kahīñ khā na jaa.eñ tum ko

    mire ḳhvāb se guzar lo mirā phone to uThāo

    ye jo dhuup hijr hai hameñ rakh na de jalā kar

    koī sāya-e-shajar lo mirā phone to uThāo

    maiñ bichhā ke aa rahā huuñ sar-e-rahguzār ye dil

    tum isī pe paañv dhar lo mirā phone to uThāo

    yūñhī reshmī se jīvan pe samay baar kyoñ ho

    mirā rang bārvar lo mirā phone to uThāo

    yun na KHud mein chup si bhar lo mera phone to uThao

    jo gila hai mujh se kar lo mera phone to uThao

    jo ghubar sa hai dil mein wo nikalna hi behtar

    bhale mujh pe tum biphar lo mera phone to uThao

    mujhe apna haal kah do ki karun main gham ghalat kuchh

    mere dard ki KHabar lo mera phone to uThao

    yun alag thalag rahogi to baDhegi aur uljhan

    na lahu mein yun bhanwar lo mera phone to uThao

    meri zindagi se chaho ho agar uDan bharna

    mere sare baal-o-par lo mera phone to uThao

    ye haqiqaton ke daldal kahin kha na jaen tum ko

    mere KHwab se guzar lo mera phone to uThao

    ye jo dhup hijr ki hai hamein rakh na de jala kar

    koi saya-e-shajar lo mera phone to uThao

    main bichha ke aa raha hun sar-e-rahguzar ye dil

    tum isi pe panw dhar lo mera phone to uThao

    yunhi reshmi se jiwan pe samay ka bar kyon ho

    mera rang barwar lo mera phone to uThao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now