yun nafraton mein mohabbat ke silsile dekhe
yuuñ nafratoñ meñ mohabbat ke silsile dekhe
jo toḌne pe na TuuTe vo aa.ine dekhe
paḌegā farq bhī kyā un ke duur jaane se
qarīb rah ke bhī ham ne to fāsle dekhe
huā jo ham pe ayaañ ḳhud nishān manzil kā
to raqs karte hue rah meñ zalzale dekhe
ḳhumār un kā abhī tak hai merī āñkhoñ meñ
jo maiñ ne ḳhvāb kī sūrat meñ rat-jage dekhe
zamīn par hī nahīñ silsila judā.ī kā
sitāre ham ne falak ke bhī TūTte dekhe
rahe vo ashk bahāte jo mere apne the
lahad meñ saath jo utre vo dūsre dekhe
zamīñ pe aag lagā dī palak jhapakne meñ
falak se TūTte bijlī ke zāviye dekhe
hamesha azmat-e-insāñ ke ham rahe qaa.il
na ohde dekhe kabhī aur na martabe dekhe
nishāt-o-ġham ke ka.ī zindagī meñ moḌ aa.e
to talḳh-o-shīrīñ sabhī ham ne zā.iqe dekhe
uḌā rahā thā vo jaise mazāq ḳhud apnā
ḳhushī kī bazm meñ muflis ke qahqahe dekhe
sabab haiñ apnī tabāhī kā atomī hathiyār
havā meñ aadmī ke uḌte parḳhache dekhe
ho shā.erī se jise ishq us pe lāzim hai
mirī ġhazal ko paḌhe aur qāfiye dekhe
hamesha hañstā huā dushmanoñ se pesh aaya
buland-tar the jo 'sā.ir' ke hausle dekhe
yun nafraton mein mohabbat ke silsile dekhe
jo toDne pe na TuTe wo aaine dekhe
paDega farq bhi kya un ke dur jaane se
qarib rah ke bhi hum ne to fasle dekhe
hua jo hum pe ayan KHud nishan manzil ka
to raqs karte hue rah mein zalzale dekhe
KHumar un ka abhi tak hai meri aankhon mein
jo main ne KHwab ki surat mein rat-jage dekhe
zamin par hi nahin silsila judai ka
sitare hum ne falak ke bhi TuTte dekhe
rahe wo ashk bahate jo mere apne the
lahad mein sath jo utre wo dusre dekhe
zamin pe aag laga di palak jhapakne mein
falak se TuTte bijli ke zawiye dekhe
hamesha azmat-e-insan ke hum rahe qail
na ohde dekhe kabhi aur na martabe dekhe
nishat-o-gham ke kai zindagi mein moD aae
to talKH-o-shirin sabhi hum ne zaiqe dekhe
uDa raha tha wo jaise mazaq KHud apna
KHushi ki bazm mein muflis ke qahqahe dekhe
sabab hain apni tabahi ka atomi hathiyar
hawa mein aadmi ke uDte parKHache dekhe
ho shaeri se jise ishq us pe lazim hai
meri ghazal ko paDhe aur qafiye dekhe
hamesha hansta hua dushmanon se pesh aaya
buland-tar the jo 'sair' ke hausle dekhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.