yun nahin hai ki teri baat pe bigDe hue hain
yuuñ nahīñ hai ki tirī baat pe bigḌe hue haiñ
ham to majbūri-e-hālāt pe bigḌe hue haiñ
kuchh mire pyaar na karne pe bhī nārāz haiñ vo
kuchh zamāne kī ḳhurāfāt pe bigḌe hue haiñ
dil kā pakkā huuñ magar mujh se mohabbat na karo
naqsh jitne haiñ mire haat pe bigḌe hue haiñ
naam tak bhī mirā mā'lūm nahīñ hai jin ko
kyā huā hai ki mirī zaat pe bigḌe hue haiñ
un se pūchhe koī har shai pe bigaḌne kā maza
din pe ġhussa haiñ kabhī raat pe bigḌe hue haiñ
chand afrād ke be-rang nazariye 'kāzim'
mere rangīn ḳhayālāt pe bigḌe hue haiñ
yun nahin hai ki teri baat pe bigDe hue hain
hum to majburi-e-haalat pe bigDe hue hain
kuchh mere pyar na karne pe bhi naraaz hain wo
kuchh zamane ki KHurafat pe bigDe hue hain
dil ka pakka hun magar mujh se mohabbat na karo
naqsh jitne hain mere hat pe bigDe hue hain
nam tak bhi mera ma'lum nahin hai jin ko
kya hua hai ki meri zat pe bigDe hue hain
un se puchhe koi har shai pe bigaDne ka maza
din pe ghussa hain kabhi raat pe bigDe hue hain
chand afrad ke be-rang nazariye 'kazim'
mere rangin KHayalat pe bigDe hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.