yun nazar-andaz kar ke zulm Dhaya hai bahut
yuuñ nazar-andāz kar ke zulm Dhāyā hai bahut
be-ruḳhī ne terī mujh ko āzmāyā hai bahut
tum bhī samjhauta karo apnī mohabbat ke liye
maiñ ne bhī is ke liye ḳhud ko jhukāyā hai bahut
do dinoñ kī thī mohabbat chaar din kī zindagī
chaar ke chāroñ hī din us ne rulāyā hai bahut
baiTh kar tum ne parā.ī mahfiloñ meñ jān-e-jāñ
bārhā yuuñ ḳhuun ko mere jalāyā hai bahut
maiñ ne to sochā thā tujh ko bhuul jā.ūñgā magar
tū to pahle se bhī lekin yaad aaya hai bahut
ik nazar dīdār ho jaa.e tirā bas is liye
bārhā aa tere dar ko khaTkhaTāyā hai bahut
ab ki 'nāqir' rūThā hai vo chhoḌ jaane ke liye
jaan kar bhī sab use maiñ ne manāyā hai bahut
yun nazar-andaz kar ke zulm Dhaya hai bahut
be-ruKHi ne teri mujh ko aazmaya hai bahut
tum bhi samjhauta karo apni mohabbat ke liye
main ne bhi is ke liye KHud ko jhukaya hai bahut
do dinon ki thi mohabbat chaar din ki zindagi
chaar ke chaaron hi din us ne rulaya hai bahut
baiTh kar tum ne parai mahfilon mein jaan-e-jaan
barha yun KHun ko mere jalaya hai bahut
main ne to socha tha tujh ko bhul jaunga magar
tu to pahle se bhi lekin yaad aaya hai bahut
ek nazar didar ho jae tera bas is liye
barha aa tere dar ko khaTkhaTaya hai bahut
ab ki 'naqir' ruTha hai wo chhoD jaane ke liye
jaan kar bhi sab use main ne manaya hai bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.