yun nigah Dali hai us kafir ke sine ki taraf
yuuñ nigah Daalī hai us kāfir ke siine kī taraf
juuñ sharābī dekhtā hai ābgīne kī taraf
jis tarah schōl ke bachchoñ kī bantī hai qatār
yuuñ maiñ le aatā huuñ lafzoñ ko qarīne kī taraf
maiñ hī gumnāmī ke mahbas meñ akelā rah gayā
dost saare chal paḌe shohrat ke ziine kī taraf
maiñ to us din ḳhud-kushī ke vāste tayyār thā
mujh ko us kā pyaar le aaya hai jiine kī taraf
is qadar 'gulzār' sāhib se 'aqīdat hai use
paañv phailātā nahīñ vo shaḳhs diine kī taraf
ham ne jin ko nā-ḳhudā.ī sauñp dī is mulk kī
vo bhañvar ḳhud le kar aa.e haiñ safīne kī taraf
aañkh meñ bhīgī rutoñ kā 'aks hai 'yāvar-azīm'
dil khiñchā jaatā hai sāvan ke mahīne kī taraf
yun nigah Dali hai us kafir ke sine ki taraf
jun sharabi dekhta hai aabgine ki taraf
jis tarah school ke bachchon ki banti hai qatar
yun main le aata hun lafzon ko qarine ki taraf
main hi gumnami ke mahbas mein akela rah gaya
dost sare chal paDe shohrat ke zine ki taraf
main to us din KHud-kushi ke waste tayyar tha
mujh ko us ka pyar le aaya hai jine ki taraf
is qadar 'gulzar' sahib se 'aqidat hai use
panw phailata nahin wo shaKHs dine ki taraf
hum ne jin ko na-KHudai saunp di is mulk ki
wo bhanwar KHud le kar aae hain safine ki taraf
aankh mein bhigi ruton ka 'aks hai 'yawar-azim'
dil khincha jata hai sawan ke mahine ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.