yun nikalti hai dil se aah kahin
yuuñ nikaltī hai dil se aah kahīñ
ho na ho laḌ ga.ī nigāh kahīñ
baḌhtī hī jaatī haiñ tamannā.eñ
dil ko kar deñ na ye tabāh kahīñ
dekh lī maiñ ne bhī jhalak un kī
chūktī hai mirī nigāh kahīñ
le ke dil tū ne to churā.ī aañkh
is tarah hotī hai nibāh kahīñ
ham se āḳhir vo muñh chhupāne lage
chhuptī hai shauq kī nigāh kahīñ
aql ne is meñ TeḌh paidā kī
nazar aa.ī jo sīdhī raah kahīñ
zabt-e-girya kā ehtimām to hai
na nikal jaa.e muñh se aah kahīñ
tere dar par jise amaañ na milī
us ko miltī nahīñ panāh kahīñ
dil ko āñkhoñ ne kar diyā gumrāh
ab ye hotā hai rū barāh kahīñ
ġhair kā ishq dil-lagī Thahrā
ham se hotā jo ye gunāh kahīñ
kah na de un se hāl-e-dil 'āsif'
merī hasrat-bharī nigāh kahīñ
yun nikalti hai dil se aah kahin
ho na ho laD gai nigah kahin
baDhti hi jati hain tamannaen
dil ko kar den na ye tabah kahin
dekh li main ne bhi jhalak un ki
chukti hai meri nigah kahin
le ke dil tu ne to churai aankh
is tarah hoti hai nibah kahin
hum se aaKHir wo munh chhupane lage
chhupti hai shauq ki nigah kahin
aql ne is mein TeDh paida ki
nazar aai jo sidhi rah kahin
zabt-e-girya ka ehtimam to hai
na nikal jae munh se aah kahin
tere dar par jise aman na mili
us ko milti nahin panah kahin
dil ko aankhon ne kar diya gumrah
ab ye hota hai ru barah kahin
ghair ka ishq dil-lagi Thahra
hum se hota jo ye gunah kahin
kah na de un se haal-e-dil 'asif'
meri hasrat-bhari nigah kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.