yun pau phaTi ki subh ki tauqir ghaT gai
yuuñ pau phaTī ki sub.h kī tauqīr ghaT ga.ī
sūraj chaḌhā to dhuup añdheroñ meñ baT ga.ī
har shaam yuuñ lagā ki qayāmat kā din Dhalā
har sub.h yuuñ lagā ki sadī ek kaT ga.ī
saa.e meñ aayā maiñ to 'ajab vāqi'a huā
saa.e kā saath chhoḌ ke dīvār haT ga.ī
maiñ dab gayā to piis ke surma banā diyā
uTThā to apne ḳhol meñ duniyā simaT ga.ī
shahr-e-navā pe paḌ ga.ī uftād kyā 'ajab
sannāTe bolne lage āvāz phaT ga.ī
itnā machāyā shor butoñ ne darūn-e-sañg
patthar kī mīThī niiñd bhī āḳhir uchaT ga.ī
hālāñki dekhnā hai mirā aur baat aur
vo aañkh sab ke saath mujhe bhī DapaT ga.ī
āḳhir ko rang lā.īñ mirī ḳhāksāriyāñ
us kī galī kī gard bhī mujh se lipaT ga.ī
gardan pe jis kī kitnī patañgoñ kā ḳhuun thā
muddat huī patang hamārī vo kaT ga.ī
phirtā hai āftāb liye kāsa-e-gadā.ī
thī jitnī dhuup chāñd sitāroñ meñ baT ga.ī
mahfūz jis meñ thī tirī duzdīda ik nazar
bāzār-e-zindagī meñ vahī jeb kaT ga.ī
is bhuk-marī meñ is ko ġhanīmat hī jāniye
yāroñ kī jūtiyoñ meñ agar daal baT ga.ī
tafsīl meñ na jā ki payambar to maiñ na thā
'muztar' mirī qamīs thī ik roz phaT ga.ī
yun pau phaTi ki subh ki tauqir ghaT gai
suraj chaDha to dhup andheron mein baT gai
har sham yun laga ki qayamat ka din Dhala
har subh yun laga ki sadi ek kaT gai
sae mein aaya main to 'ajab waqi'a hua
sae ka sath chhoD ke diwar haT gai
main dab gaya to pis ke surma bana diya
uTTha to apne KHol mein duniya simaT gai
shahr-e-nawa pe paD gai uftad kya 'ajab
sannaTe bolne lage aawaz phaT gai
itna machaya shor buton ne darun-e-sang
patthar ki miThi nind bhi aaKHir uchaT gai
haalanki dekhna hai mera aur baat aur
wo aankh sab ke sath mujhe bhi DapaT gai
aaKHir ko rang lain meri KHaksariyan
us ki gali ki gard bhi mujh se lipaT gai
gardan pe jis ki kitni patangon ka KHun tha
muddat hui patang hamari wo kaT gai
phirta hai aaftab liye kasa-e-gadai
thi jitni dhup chand sitaron mein baT gai
mahfuz jis mein thi teri duzdida ek nazar
bazar-e-zindagi mein wahi jeb kaT gai
is bhuk-mari mein is ko ghanimat hi jaaniye
yaron ki jutiyon mein agar dal baT gai
tafsil mein na ja ki payambar to main na tha
'muztar' meri qamis thi ek roz phaT gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.