yun qaid hum hue ki hawa ko taras gae
yuuñ qaid ham hue ki havā ko taras ga.e
apne hī kaan apnī sadā ko taras ga.e
the kyā ajiib log ki jiine ke shauq meñ
āb-e-hayāt pī ke havā ko taras ga.e
kuchh roz ke liye jo kiyā ham ne tark shahr
bashindagān-e-shahr jafā ko taras ga.e
murda adab ko dī hai na.ī zindagī magar
bīmār ḳhud paḌe to davā ko taras ga.e
ḳhālī jo apnā jism lahū se huā 'qamar'
kitne hī haath rañg-e-hinā ko taras ga.e
yun qaid hum hue ki hawa ko taras gae
apne hi kan apni sada ko taras gae
the kya ajib log ki jine ke shauq mein
aab-e-hayat pi ke hawa ko taras gae
kuchh roz ke liye jo kiya hum ne tark shahr
bashindagan-e-shahr jafa ko taras gae
murda adab ko di hai nai zindagi magar
bimar KHud paDe to dawa ko taras gae
KHali jo apna jism lahu se hua 'qamar'
kitne hi hath rang-e-hina ko taras gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.