yun ruTh kar na ja ki tujhe kuchh KHabar bhi hai
yuuñ ruuTh kar na jā ki tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
'umr-e-junūñ darāz bhī hai muḳhtasar bhī hai
vo aañkh dekh kar bhī mujhe ajnabī sī hai
iqrār-e-‘ishq bhī hai zamāne kā Dar bhī hai
ai zindagī kabhī to mujhe muḌ ke dekh le
ik shaḳhs terā chāhne vaalā idhar bhī hai
is shahr-e-qātilāñ se hameñ kyā nahīñ milā
siine meñ dāġh-e-‘ishq bhī hai zaḳhm-e-sar bhī hai
māyūs ho ke kuchh na milegā jahān meñ
jiinā bhī sīkhiye ki ye jiinā hunar bhī hai
sūraj hisār-e-shab se nikal to gayā magar
ḳhūn-e-shafaq se jāma-e-ḳhush-rang tar bhī hai
itnā tujhe ḳhayāl rahe ai amīr-e-shahr
ūñchī haveliyoñ kā muqaddar khañDar bhī hai
patthar uThā ke soch rahā huuñ maiñ ai 'bashīr'
is shahr-e-sang meñ mirā shīshe kā ghar bhī hai
yun ruTh kar na ja ki tujhe kuchh KHabar bhi hai
'umr-e-junun daraaz bhi hai muKHtasar bhi hai
wo aankh dekh kar bhi mujhe ajnabi si hai
iqrar-e-‘ishq bhi hai zamane ka Dar bhi hai
ai zindagi kabhi to mujhe muD ke dekh le
ek shaKHs tera chahne wala idhar bhi hai
is shahr-e-qatilan se hamein kya nahin mila
sine mein dagh-e-‘ishq bhi hai zaKHm-e-sar bhi hai
mayus ho ke kuchh na milega jahan mein
jina bhi sikhiye ki ye jina hunar bhi hai
suraj hisar-e-shab se nikal to gaya magar
KHun-e-shafaq se jama-e-KHush-rang tar bhi hai
itna tujhe KHayal rahe ai amir-e-shahr
unchi haweliyon ka muqaddar khanDar bhi hai
patthar uTha ke soch raha hun main ai 'bashir'
is shahr-e-sang mein mera shishe ka ghar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.