yun samaat ko saza di gai hai
yuuñ samā.at ko sazā dī ga.ī hai
ḳhāmushī aur baḌhā dī ga.ī hai
sāmne rakh ke tirī tasvīreñ
bhūkī nazroñ ko ġhizā dī ga.ī hai
apnī tanhā.ī ghaTāne ke liye
ghar meñ chiḌiyoñ ko jagah dī ga.ī hai
zid pe baiThī hai ki yaad aa.egī
ek sūrat jo bhulā dī ga.ī hai
baat jo apne talak rakhnī thī
saarī duniyā ko batā dī ga.ī hai
dhyān rakhnā ki havā lag na sake
aag vaise to bujhā dī ga.ī hai
ab faqat ret bachī hai mujh meñ
jo nadī thī vo sukhā dī ga.ī hai
yun samaat ko saza di gai hai
KHamushi aur baDha di gai hai
samne rakh ke teri taswiren
bhuki nazron ko ghiza di gai hai
apni tanhai ghaTane ke liye
ghar mein chiDiyon ko jagah di gai hai
zid pe baiThi hai ki yaad aaegi
ek surat jo bhula di gai hai
baat jo apne talak rakhni thi
sari duniya ko bata di gai hai
dhyan rakhna ki hawa lag na sake
aag waise to bujha di gai hai
ab faqat ret bachi hai mujh mein
jo nadi thi wo sukha di gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.