yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin
yuuñ samāyā hai ki ab sar se nikalne kā nahīñ
maiñ jo chāhūñ bhī to ik Dar se nikalne kā nahīñ
maiñ ne jo ḳhauf piroyā thā ragoñ meñ apnī
aisā baiThā hai ki andar se nikalne kā nahīñ
baa'd koshish ke natīja ye nikālā maiñ ne
zindagī maiñ tire chakkar se nikalne kā nahīñ
khīñch laate haiñ haqīqat meñ havādis varna
aadmī ḳhvāb ke mehvar se nikalne kā nahīñ
sar paTaḳhtā nahīñ piñjre meñ parinda yūñhī
shauq-e-parvāz kabhī par se nikalne kā nahīñ
ik saḌak aur mirā āTHvāñ dasvāñ chakkar
aur mujhe 'ilm hai vo ghar se nikalne kā nahīñ
apne andar yuuñ chhupā.e haiñ sanam patthar ne
but koī tesha-e-āzar se nikalne kā nahīñ
ġham-e-daurāñ bhī hai yuuñ jaise mirā yaum-e-hisāb
maiñ to duniyā meñ bhī mahshar se nikalne kā nahīñ
dhauñs detā hai ye sūraj mujhe har shaam 'hasan'
vo jo Duubā to samundar se nikalne kā nahīñ
yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin
main jo chahun bhi to ek Dar se nikalne ka nahin
main ne jo KHauf piroya tha ragon mein apni
aisa baiTha hai ki andar se nikalne ka nahin
ba'd koshish ke natija ye nikala main ne
zindagi main tere chakkar se nikalne ka nahin
khinch late hain haqiqat mein hawadis warna
aadmi KHwab ke mehwar se nikalne ka nahin
sar paTaKHta nahin pinjre mein parinda yunhi
shauq-e-parwaz kabhi par se nikalne ka nahin
ek saDak aur mera aaTHwan daswan chakkar
aur mujhe 'ilm hai wo ghar se nikalne ka nahin
apne andar yun chhupae hain sanam patthar ne
but koi tesha-e-azar se nikalne ka nahin
gham-e-dauran bhi hai yun jaise mera yaum-e-hisab
main to duniya mein bhi mahshar se nikalne ka nahin
dhauns deta hai ye suraj mujhe har sham 'hasan'
wo jo Duba to samundar se nikalne ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.