yun subh dikhaenge hum raat ke maron ko
yuuñ sub.h dikhā.eñge ham raat ke māroñ ko
Tāñkeñge dupaTTe par TuuTe hue tāroñ ko
āñkheñ hī nahīñ pahle manzar bhī nayā denā
phir ret se uljhānā un ḳhvāb-savāroñ ko
mehrāb se dil-andar gūñjī hai mohabbat phir
darvāza na kholā to Dhā.egī mināroñ ko
tā-hadd-e-nazar hai ab tā-hadd-e-nazar paanī
tūfān kī aamad ab toḌegī kināroñ ko
ik kuuñj sisaktī hai miTTī meñ dabā.e choñch
jab shaam ko taktī hai luuTī hui Dāroñ ko
aa jaa.e hamārā naam us shaḳhs ke hoñToñ par
ab aag lage saare ḳhāmosh ishāroñ ko
kis samt se aa.e the kis samt ga.e hoñge
tum ne bhī nahīñ dekhā un nāqa-savāroñ ko
kaase meñ tasavvur ke ik aks ġhanīmat hai
ḳhālī nahīñ lauTāyā bilqīs ne yāroñ ko
yun subh dikhaenge hum raat ke maron ko
Tankenge dupaTTe par TuTe hue taron ko
aankhen hi nahin pahle manzar bhi naya dena
phir ret se uljhana un KHwab-sawaron ko
mehrab se dil-andar gunji hai mohabbat phir
darwaza na khola to Dhaegi minaron ko
ta-hadd-e-nazar hai ab ta-hadd-e-nazar pani
tufan ki aamad ab toDegi kinaron ko
ek kunj sisakti hai miTTi mein dabae chonch
jab sham ko takti hai luTi hui Daron ko
aa jae hamara nam us shaKHs ke honTon par
ab aag lage sare KHamosh ishaaron ko
kis samt se aae the kis samt gae honge
tum ne bhi nahin dekha un naqa-sawaron ko
kase mein tasawwur ke ek aks ghanimat hai
KHali nahin lauTaya bilqis ne yaron ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.