yun tabiat to paDhai mein laga rakkhi thi
yuuñ tabī'at to paḌhā.ī meñ lagā rakkhī thī
is kī tasvīr kitāboñ meñ sajā rakkhī thī
ḳhud-kushī karne se pahle kisī doshīza ne
phuul se hāthoñ meñ ḳhushbū-e-hinā rakkhī thī
vo dupaTTe jo kabhī sar se Dhalakte hī na the
raat un meñ bhī bahut tez havā rakkhī thī
beTī sasurāl meñ do din bhī ḳhushī se na rahī
shart daulat ne ġharībī se lagā rakkhī thī
phuul se hañste hue bachchoñ kī ḳhātir maañ ne
apne āñchal meñ kaḌī dhuup chhupā rakkhī thī
'aam laḌkoñ kī tarah ham ne bhī tā'līm ke baa'd
naukrī milne kī ummīd lagā rakkhī thī
mere hoñToñ ko kabhī izn-e-takallum na milā
varna maiñ ne bhī tire haq meñ du'ā rakkhī thī
yun tabi'at to paDhai mein laga rakkhi thi
is ki taswir kitabon mein saja rakkhi thi
KHud-kushi karne se pahle kisi doshiza ne
phul se hathon mein KHushbu-e-hina rakkhi thi
wo dupaTTe jo kabhi sar se Dhalakte hi na the
raat un mein bhi bahut tez hawa rakkhi thi
beTi sasural mein do din bhi KHushi se na rahi
shart daulat ne gharibi se laga rakkhi thi
phul se hanste hue bachchon ki KHatir man ne
apne aanchal mein kaDi dhup chhupa rakkhi thi
'am laDkon ki tarah hum ne bhi ta'lim ke ba'd
naukri milne ki ummid laga rakkhi thi
mere honTon ko kabhi izn-e-takallum na mila
warna main ne bhi tere haq mein du'a rakkhi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.