yun tasawwur mein tera husn nazar aata hai
yuuñ tasavvur meñ tirā husn nazar aatā hai
jaise darpan meñ koī aks jhalak jaatā hai
ek muddat se hai go tark-e-ta.alluq phir bhī
dil ko ik jazba-e-be-nām sā taḌaptā hai
gahre ho jaate haiñ jis vaqt añdhere ġham ke
terī bikhrī huī zulfoñ kā ḳhayāl aatā hai
kitne dilchasp haiñ āzār-e-mohabbat ai dost
phuul khilte haiñ to dil aur bhī ghabrātā hai
rah ga.e bujh ke mohabbat bharī yādoñ ke charāġh
raushnī dil meñ koī phir bhī kiye jaatā hai
ek ḳhāmosh udāsī kā hai aalam taarī
kaun ḳhvāboñ meñ dabe paañv chalā aatā hai
'raaj aatā hai kabhī pyaar meñ aisā bhī maqām
ek dil rotā hai aur saarā jahāñ gaatā hai
yun tasawwur mein tera husn nazar aata hai
jaise darpan mein koi aks jhalak jata hai
ek muddat se hai go tark-e-talluq phir bhi
dil ko ek jazba-e-be-nam sa taDapta hai
gahre ho jate hain jis waqt andhere gham ke
teri bikhri hui zulfon ka KHayal aata hai
kitne dilchasp hain aazar-e-mohabbat ai dost
phul khilte hain to dil aur bhi ghabraata hai
rah gae bujh ke mohabbat bhari yaadon ke charagh
raushni dil mein koi phir bhi kiye jata hai
ek KHamosh udasi ka hai aalam tari
kaun KHwabon mein dabe panw chala aata hai
'raj aata hai kabhi pyar mein aisa bhi maqam
ek dil rota hai aur sara jahan gata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.