yun tha ki har KHata-e-man-o-tu muhaal thi
yuuñ thā ki har ḳhatā-e-man-o-tū muhāl thī
dil ke bilāl kī vo azān-e-visāl thī
yādeñ sulag uThī thiiñ kisī dasht kī tarah
siine meñ mere kaisī havā-e-malāl thī
darvesh apnī dhun meñ hadoñ se nikal gayā
ḳhalq-e-ḳhudā meñ bahs-e-urūj-o-zavāl thī
is baar abr-e-yār bahut mehrbāñ rahā
is baar kisht-e-hijr meñ fasl-e-visāl thī
ik shab ki thī 'ināyat-e-būd-o-nabūd-e-'ishq
ik raushnī ki mere suḳhan kā ma.aal thī
ālam-panāh aap kī nisbat savāl thā
sarkār jo 'atā thī mire hasb-e-hāl thī
yun tha ki har KHata-e-man-o-tu muhaal thi
dil ke bilal ki wo azan-e-visal thi
yaaden sulag uThi thin kisi dasht ki tarah
sine mein mere kaisi hawa-e-malal thi
darwesh apni dhun mein hadon se nikal gaya
KHalq-e-KHuda mein bahs-e-uruj-o-zawal thi
is bar abr-e-yar bahut mehrban raha
is bar kisht-e-hijr mein fasl-e-visal thi
ek shab ki thi 'inayat-e-bud-o-nabud-e-'ishq
ek raushni ki mere suKHan ka maal thi
aalam-panah aap ki nisbat sawal tha
sarkar jo 'ata thi mere hasb-e-haal thi
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 89)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.