yun tere hijr mein aankhon se sitare TuTe
yuuñ tire hijr meñ āñkhoñ se sitāre TuuTe
jaise sailāb se dariyā ke kināre TuuTe
shaq huī jaise zamīñ jaise falak TuuT paḌā
aah vo vaqt ki jab ham se hamāre TuuTe
āḳhirash aaj tirā ġham bhī huā dil se judā
rafta-rafta sabhī jiine ke sahāre TuuTe
merī āñkhoñ meñ har ik samt hai laq-daq sahrā
ḳhvāb bikhre kabhī rangīn nazāre TuuTe
ahl-e-dil pyaar se mahrūm hue haiñ aise
jaise mahñgā.ī meñ iflās ke maare TuuTe
dekhtā rah gayā vo khelne vaalā bachcha
us ke hāthoñ meñ achānak jo ġhubāre TuuTe
'ehtishām' ek na piine kī qasam bhī dekheñ
ahd-o-paimāñ to miyāñ aap ke saare TuuTe
yun tere hijr mein aankhon se sitare TuTe
jaise sailab se dariya ke kinare TuTe
shaq hui jaise zamin jaise falak TuT paDa
aah wo waqt ki jab hum se hamare TuTe
aaKHirash aaj tera gham bhi hua dil se juda
rafta-rafta sabhi jine ke sahaare TuTe
meri aankhon mein har ek samt hai laq-daq sahra
KHwab bikhre kabhi rangin nazare TuTe
ahl-e-dil pyar se mahrum hue hain aise
jaise mahngai mein iflas ke mare TuTe
dekhta rah gaya wo khelne wala bachcha
us ke hathon mein achanak jo ghubare TuTe
'ehtisham' ek na pine ki qasam bhi dekhen
ahd-o-paiman to miyan aap ke sare TuTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.