yun tere shahr se hum yar chale aate hain
yuuñ tire shahr se ham yaar chale aate haiñ
jaise ka.abe se gunahgār chale aate haiñ
ishq meñ qais ne sahrāoñ ko chhānā hogā
ham vo majnūñ haiñ jo bāzār chale aate haiñ
raat bhar tum bhī udāsī kā sabab bante ho
din nikaltā hai to aḳhbār chale aate haiñ
ye tire shahr kī rusvā.ī nahīñ to kyā hai
ham tire shahr se bīmār chale aate haiñ
vo bulātā hai jise pyaar se apnī jānib
maiñ to pāgal huuñ samajhdār chale aate haiñ
yun tere shahr se hum yar chale aate hain
jaise kabe se gunahgar chale aate hain
ishq mein qais ne sahraon ko chhana hoga
hum wo majnun hain jo bazar chale aate hain
raat bhar tum bhi udasi ka sabab bante ho
din nikalta hai to aKHbar chale aate hain
ye tere shahr ki ruswai nahin to kya hai
hum tere shahr se bimar chale aate hain
wo bulata hai jise pyar se apni jaanib
main to pagal hun samajhdar chale aate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.