yuuñ tirī bazm meñ kyā nahīñ
shukr-sad-shukr duniyā nahīñ
tū nahīñ to tirī yaad hai
ham akele haiñ tanhā nahīñ
dard-e-dil kā mudāvā na DhūñD
dard apnī jagah kyā nahīñ
aaj sahrā ko kyā ho gayā
koī pattā bhī khaḌkā nahīñ
sub.h to ho ga.ī hai magar
nuur qaa.em hai phailā nahīñ
tum na aa.e to kal raat ko
chāñd dhartī pe utrā nahīñ
chashm-e-bīnā agar ho nasīb
qatra kyā hai jo dariyā nahīñ
aadmī 'aql ke zo'm meñ
aur uljhā hai suljhā nahīñ
khel samjhe ho ai dil jise
zindagī hai tamāshā nahīñ
yun teri bazm mein kya nahin
shukr-sad-shukr duniya nahin
tu nahin to teri yaad hai
hum akele hain tanha nahin
dard-e-dil ka mudawa na DhunD
dard apni jagah kya nahin
aaj sahra ko kya ho gaya
koi patta bhi khaDka nahin
subh to ho gai hai magar
nur qaem hai phaila nahin
tum na aae to kal raat ko
chand dharti pe utra nahin
chashm-e-bina agar ho nasib
qatra kya hai jo dariya nahin
aadmi 'aql ke zo'm mein
aur uljha hai suljha nahin
khel samjhe ho ai dil jise
zindagi hai tamasha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.