yun to aksar dekhte hain aana jaana maut ka
yuuñ to aksar dekhte haiñ aanā jaanā maut kā
rang lekin aaj dekhā hai nayā sā maut kā
zindagī ne to kabhī jiine kī mohlat dī nahīñ
ab hai bas ham be-sahāroñ ko sahārā maut kā
pahle kar lete haiñ mil kar jo bhī jis se ban paḌe
baiTh kar phir dekhte haiñ sab tamāshā maut kā
dikh rahe haiñ saa.e hī saa.e se kyoñ chāroñ taraf
vaqt shāyad aan pahuñchā hai hamārā maut kā
saarī jangeñ jiit kar ham mil ga.e haiñ aaj par
ḳhauf mujh par chhā rahā hai be-tahāshā maut kā
zindagī to 'ārzī hai zindagī se kyā gila
khel hai jo hai yahāñ saarā kā saarā maut kā
dil kī hālat kuchh bigaḌtī jā rahī hai din-ba-din
ban na jaa.e ek din ye dil bahānā maut kā
zindagī ke kitne hī marqūm afsāne kiye
likh nahīñ paa.ī 'sahar' lekin fasāna maut kā
yun to aksar dekhte hain aana jaana maut ka
rang lekin aaj dekha hai naya sa maut ka
zindagi ne to kabhi jine ki mohlat di nahin
ab hai bas hum be-sahaaron ko sahaara maut ka
pahle kar lete hain mil kar jo bhi jis se ban paDe
baiTh kar phir dekhte hain sab tamasha maut ka
dikh rahe hain sae hi sae se kyon chaaron taraf
waqt shayad aan pahuncha hai hamara maut ka
sari jangen jit kar hum mil gae hain aaj par
KHauf mujh par chha raha hai be-tahasha maut ka
zindagi to 'arzi hai zindagi se kya gila
khel hai jo hai yahan sara ka sara maut ka
dil ki haalat kuchh bigaDti ja rahi hai din-ba-din
ban na jae ek din ye dil bahana maut ka
zindagi ke kitne hi marqum afsane kiye
likh nahin pai 'sahar' lekin fasana maut ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.