yun to aksar dil bhi dhaDke chehre par
yuuñ to aksar dil bhī dhaḌke chehre par
jo kuchh haiñ āñkheñ haiñ mere chehre par
paḌhne vaalī aañkh vazīfa kartī hai
likh detā hai pyaar sahīfe chehre par
mere chehre par likkhā hai naam mirā
aur tirī tasvīr hai tere chehre par
shaam se pahle raat utarne lagtī hai
hañs dete haiñ jab ā.īne chehre par
pahle merī āñkhoñ ko zanjīr kiyā
phir khole sātoñ darvāze chehre par
tere ġham ne har aalam pahchān liyā
maiñ ne kyā kyā chehre oḌhe chehre par
saal guzar jaate haiñ ishq meñ aur 'munīr'
tham kar rah jaate haiñ lamhe chehre par
yun to aksar dil bhi dhaDke chehre par
jo kuchh hain aankhen hain mere chehre par
paDhne wali aankh wazifa karti hai
likh deta hai pyar sahife chehre par
mere chehre par likkha hai nam mera
aur teri taswir hai tere chehre par
sham se pahle raat utarne lagti hai
hans dete hain jab aaine chehre par
pahle meri aankhon ko zanjir kiya
phir khole saton darwaze chehre par
tere gham ne har aalam pahchan liya
main ne kya kya chehre oDhe chehre par
sal guzar jate hain ishq mein aur 'munir'
tham kar rah jate hain lamhe chehre par
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 205)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.