yun to apni umr se sadiyon purani hai ghazal
yuuñ to apnī umr se sadiyoñ purānī hai ġhazal
par mire mahbūb kī taazā javānī hai ġhazal
apne har qatre meñ ik dariyā sameTe dard kā
kis kī āñkhoñ kā na jaane paak paanī hai ġhazal
dard se labrez dil ke ḳhuun se likkhī huī
chand misroñ meñ chhupī lambī kahānī hai ġhazal
sab luTā kar aa ga.e ham ishq meñ ai dosto
āḳhirī ham par mohabbat kī nishānī hai ġhazal
dil hī dil meñ ek lambī umr se ghaTte hue
kitne hī ḳhāmosh lafzoñ kī ma.ānī hai ġhazal
yun to apni umr se sadiyon purani hai ghazal
par mere mahbub ki taza jawani hai ghazal
apne har qatre mein ek dariya sameTe dard ka
kis ki aankhon ka na jaane pak pani hai ghazal
dard se labrez dil ke KHun se likkhi hui
chand misron mein chhupi lambi kahani hai ghazal
sab luTa kar aa gae hum ishq mein ai dosto
aaKHiri hum par mohabbat ki nishani hai ghazal
dil hi dil mein ek lambi umr se ghaTte hue
kitne hi KHamosh lafzon ki maani hai ghazal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.