yun to bahut makan hain magar ghar nahin rahe
yuuñ to bahut makāñ haiñ magar ghar nahīñ rahe
ya.anī hamāre gaañv meñ chhappar nahīñ rahe
kuchh shahr vaale gaañv mire aa.e na kabhī
aa.e bhī mushkiloñ se to shab-bhar nahīñ rahe
furqat meñ ab kisī kī bhī rote nahīñ haiñ log
āñkhoñ meñ ab kisī ke samandar nahīñ rahe
unglī pakaḌ ke chal rahīñ tanhā.iyāñ mirī
rāheñ abhī bhī saath haiñ rahbar nahīñ rahe
yuuñ to hamāre ghar meñ har ik chiiz hai magar
vo maañ ke haath ke bane bistar nahīñ rahe
muddat se jangaloñ meñ na dekhā gayā vo qais
vo is liye ki ab vahāñ tītar nahīñ rahe
saare rivāj-o-rasm taraqqī meñ kho ga.e
bichhte the jo zamīñ pe vo langar nahīñ rahe
shīshe kī tarh saaf the kuchh dushmanoñ ke dil
in āstīnoñ meñ kabhī ḳhanjar nahīñ rahe
duniyā ke ranj ne yuuñ inheñ mom kar diyā
patthar-mizāj shaḳhs bhī patthar nahīñ rahe
un kī anā-o-faḳhr kā ab kyā kareñ gila
ham bhī to apne aap meñ aksar nahīñ rahe
un meñ bhī ab vo aalī samā.at kahāñ rahī
aur ham bhī pahle jaise suḳhanvar nahīñ rahe
yun to bahut makan hain magar ghar nahin rahe
yani hamare ganw mein chhappar nahin rahe
kuchh shahr wale ganw mere aae na kabhi
aae bhi mushkilon se to shab-bhar nahin rahe
furqat mein ab kisi ki bhi rote nahin hain log
aankhon mein ab kisi ke samandar nahin rahe
ungli pakaD ke chal rahin tanhaiyan meri
rahen abhi bhi sath hain rahbar nahin rahe
yun to hamare ghar mein har ek chiz hai magar
wo man ke hath ke bane bistar nahin rahe
muddat se jangalon mein na dekha gaya wo qais
wo is liye ki ab wahan titar nahin rahe
sare riwaj-o-rasm taraqqi mein kho gae
bichhte the jo zamin pe wo langar nahin rahe
shishe ki tarh saf the kuchh dushmanon ke dil
in aastinon mein kabhi KHanjar nahin rahe
duniya ke ranj ne yun inhen mom kar diya
patthar-mizaj shaKHs bhi patthar nahin rahe
un ki ana-o-faKHr ka ab kya karen gila
hum bhi to apne aap mein aksar nahin rahe
un mein bhi ab wo aali samaat kahan rahi
aur hum bhi pahle jaise suKHanwar nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.