yun to duniya bhi mujhe ras kahan aai hai
yuuñ to duniyā bhī mujhe raas kahāñ aa.ī hai
bazm meñ aate hī lagtā hai ki tanhā.ī hai
sach to ye hai ki mujhe raas nahīñ aatā kuchh
merī aadat se mirī zindagī uktā.ī hai
zehn meñ naam nahīñ chehra nahīñ hai koī
aaj ik ruuh ko ik ruuh kī yaad aa.ī hai
vo mulāqāt mirī jaan kuchh ik pal kī sahī
us kī tasvīr baḌe frame meñ banvā.ī hai
maiñ ġhazal kahte hue chāñd talak ho aa.ī
āsmāñ meñ bhī mirī sab se shanāsā.ī hai
yun to duniya bhi mujhe ras kahan aai hai
bazm mein aate hi lagta hai ki tanhai hai
sach to ye hai ki mujhe ras nahin aata kuchh
meri aadat se meri zindagi uktai hai
zehn mein nam nahin chehra nahin hai koi
aaj ek ruh ko ek ruh ki yaad aai hai
wo mulaqat meri jaan kuchh ek pal ki sahi
us ki taswir baDe frame mein banwai hai
main ghazal kahte hue chand talak ho aai
aasman mein bhi meri sab se shanasai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.