yun to duniya mein hain dildar bahut
yuuñ to duniyā meñ haiñ dildār bahut
karte mirzā haiñ magar pyaar bahut
shaiḳh jī karte haiñ takrār bahut
aaj deñge unheñ ham maar bahut
chul nahīñ uThtī agar chakle kī
pūchho kyoñ jaate haiñ bāzār bahut
sāġhar-e-husn bachānā guyyāñ
taak meñ phirte haiñ mai-ḳhvār bahut
bal na abrū pe hamāre aaya
vo ghumāyā kiye talvār bahut
ek dil kis ko na deñ kis ko deñ
lene vāloñ kī hai bhar-mār bahut
aaj dāroġha kī kal deputy kī
rahtī gauhar ko hai begār bahut
tum to kasbī se vo tum se bigḌī
mujh se uljhe na muī naar bahut
beḌiyāñ shaiḳh kī gar kaT jaa.eñ
DhūñD le bandī bhī phir paar bahut
ham ne ghusne na diye un ke raqīb
ḳhaar khāyā kiye bad-kār bahut
paTTī sautoñ ne paḌhā.ī aisī
ham se āzurda haiñ sarkār bahut
muñh-lage gar nahīñ marde un ke
ghere kyoñ rahte haiñ aġhyār bahut
bāda-e-ishq meñ 'anqā-begam'
ab to rahne lagī sarshār bahut
yun to duniya mein hain dildar bahut
karte mirza hain magar pyar bahut
shaiKH ji karte hain takrar bahut
aaj denge unhen hum mar bahut
chul nahin uThti agar chakle ki
puchho kyon jate hain bazar bahut
saghar-e-husn bachana guyyan
tak mein phirte hain mai-KHwar bahut
bal na abru pe hamare aaya
wo ghumaya kiye talwar bahut
ek dil kis ko na den kis ko den
lene walon ki hai bhar-mar bahut
aaj darogha ki kal deputy ki
rahti gauhar ko hai begar bahut
tum to kasbi se wo tum se bigDi
mujh se uljhe na mui nar bahut
beDiyan shaiKH ki gar kaT jaen
DhunD le bandi bhi phir par bahut
hum ne ghusne na diye un ke raqib
KHar khaya kiye bad-kar bahut
paTTi sauton ne paDhai aisi
hum se aazurda hain sarkar bahut
munh-lage gar nahin marde un ke
ghere kyon rahte hain aghyar bahut
baada-e-ishq mein 'anqa-begam'
ab to rahne lagi sarshaar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.