yun to ehsas-e-ziyan pe KHun-e-dil rota raha
yuuñ to ehsās-e-ziyāñ pe ḳhūn-e-dil rotā rahā
zindagī kā bojh phir bhī dosto Dhotā rahā
intihā-e-ġham meñ bhī mauj-e-tabassum lab pe thī
dard kī bārish meñ bhī ye dil dhanak hotā rahā
bārhā is baat kā mujh ko huā hai tajraba
jis ke haq meñ kī duā kāñTe vahī botā rahā
dil ke darvāze pe koī bhī sadā ubhrī nahīñ
pyār-dastak ke liye maiñ umr-bhar rotā rahā
us kā ghar bhī sho.aloñ kī zad se na āḳhir bach sakā
jo lagā kar aag ḳhud thā chain se sotā rahā
ġham nahīñ 'aḳhtar' ko barbādī kā apnī ai ḳhudā
haañ magar sab kuchh tire hote hue hotā rahā
yun to ehsas-e-ziyan pe KHun-e-dil rota raha
zindagi ka bojh phir bhi dosto Dhota raha
intiha-e-gham mein bhi mauj-e-tabassum lab pe thi
dard ki barish mein bhi ye dil dhanak hota raha
barha is baat ka mujh ko hua hai tajraba
jis ke haq mein ki dua kanTe wahi bota raha
dil ke darwaze pe koi bhi sada ubhri nahin
pyar-dastak ke liye main umr-bhar rota raha
us ka ghar bhi shoalon ki zad se na aaKHir bach saka
jo laga kar aag KHud tha chain se sota raha
gham nahin 'aKHtar' ko barbaadi ka apni ai KHuda
han magar sab kuchh tere hote hue hota raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.