yun to har dagh tujhe humne dikhaya bhi nahin
yuuñ to har daaġh tujhe ham ne dikhāyā bhī nahīñ
lekin ai dost koī raaz chhupāyā bhī nahīñ
ye to sach hai ki haqīqat kī tarah yaad nahīñ
ḳhvāb kī tarah magar tujh ko bhulāyā bhī nahīñ
kyoñ gale milte haiñ rah rah ke havādis mujh se
mujh pe jo guzrī hai vo maiñ ne batāyā bhī nahīñ
koī batlāo kareñ kis tarah apnoñ kī talāsh
aisī manzil pe jahāñ koī parāyā bhī nahīñ
yuuñ rahe garm-e-safar ālam-e-hairat meñ 'sabā'
apnā dāman kabhī kāñToñ se bachāyā bhī nahīñ
yun to har dagh tujhe hum ne dikhaya bhi nahin
lekin ai dost koi raaz chhupaya bhi nahin
ye to sach hai ki haqiqat ki tarah yaad nahin
KHwab ki tarah magar tujh ko bhulaya bhi nahin
kyon gale milte hain rah rah ke hawadis mujh se
mujh pe jo guzri hai wo main ne bataya bhi nahin
koi batlao karen kis tarah apnon ki talash
aisi manzil pe jahan koi paraya bhi nahin
yun rahe garm-e-safar aalam-e-hairat mein 'saba'
apna daman kabhi kanTon se bachaya bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.