yun to har din tu kisi zid pe aDi rahti hai
yuuñ to har din tū kisī zid pe aḌī rahtī hai
zindagī tujh se par ummīd baḌī rahtī hai
jaane kyā hotā mirā raat ke sannāToñ meñ
shukr hai kamre meñ dīvār-ghaḌī rahtī hai
ḳhatm hotā nahīñ paañv se yahāñ ek safar
aur pahle se hī ik raah khaḌī rahtī hai
ek tasvīr jo sotī thī lipaT kar ham se
āj-kal vo kahīñ kone meñ paḌī rahtī hai
zindagī hai ki guzar jaatī hai muñh pher ke aur
maut har hādse meñ saath khaḌī rahtī hai
yun to har din tu kisi zid pe aDi rahti hai
zindagi tujh se par ummid baDi rahti hai
jaane kya hota mera raat ke sannaTon mein
shukr hai kamre mein diwar-ghaDi rahti hai
KHatm hota nahin panw se yahan ek safar
aur pahle se hi ek rah khaDi rahti hai
ek taswir jo soti thi lipaT kar hum se
aaj-kal wo kahin kone mein paDi rahti hai
zindagi hai ki guzar jati hai munh pher ke aur
maut har hadse mein sath khaDi rahti hai
- Book : Aavaazon Ka Raushandaan (Pg. 98)
- Author : Kuldeep Kumar
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.