yun to har ek ne ki rasm ada mere baad
yuuñ to har ek ne kī rasm adā mere baad
kar na paayā koī takmīl-e-vafā mere baad
maiñ ne anjām diye kār-e-numāyāñ jo bhī
bā-vafā koī bhī vo kar na sakā mere baad
kaun samjhegā taqaddus jo hai bahr-e-ġham kā
zindagī ko koī sāhil na milā mere baad
sajda-e-shukr ba-har-gām adā kartā huuñ
kaun samjhegā ye taslīm-o-razā mere baad
sāf-goī kā har ik kartā hai da.avā lekin
kis ne mahfil meñ ye iz.hār kiyā mere baad
inqalāb aaya zamāne meñ to kis ke dam se
kis kā lahja asar-andāz huā mere baad
ḳhair maqdam ke liye ḳhud baḌhī manzil merī
duur tak phir na chalā us kā patā mere baad
bazm-e-duniyā to hai 'maqsūd' sarā-e-fānī
kyā ḳhabar kaun ho phir jalva-numā mere baad
yun to har ek ne ki rasm ada mere baad
kar na paya koi takmil-e-wafa mere baad
main ne anjam diye kar-e-numayan jo bhi
ba-wafa koi bhi wo kar na saka mere baad
kaun samjhega taqaddus jo hai bahr-e-gham ka
zindagi ko koi sahil na mila mere baad
sajda-e-shukr ba-har-gam ada karta hun
kaun samjhega ye taslim-o-raza mere baad
saf-goi ka har ek karta hai dawa lekin
kis ne mahfil mein ye izhaar kiya mere baad
inqalab aaya zamane mein to kis ke dam se
kis ka lahja asar-andaz hua mere baad
KHair maqdam ke liye KHud baDhi manzil meri
dur tak phir na chala us ka pata mere baad
bazm-e-duniya to hai 'maqsud' sara-e-fani
kya KHabar kaun ho phir jalwa-numa mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.