yun to har ek shaKHs hi talib samar ka hai
yuuñ to har ek shaḳhs hī tālib samar kā hai
aisā bhī koī hai ki jise ġham shajar kā hai
ye kaisā kārvāñ hai ki ek ek gaam par
sab sochte haiñ kyā koī mauqa' safar kā hai
ye kaisā āsmāñ hai ki jis kī fazāoñ meñ
ek ḳhauf sā shikastagī-e-bāl-o-par kā hai
ye kaisā ghar hai jis ke makīnoñ ko har ghaḌī
dhaḌkā sā ek larzish-e-dīvār-o-dar kā hai
āñkhoñ pe tīrgī kā tasallut hai is qadar
kirnoñ pe ehtimāl fareb-e-nazar kā hai
chehre kā koī daaġh dikhā.ī na de mujhe
ye mo'jiza 'ajab mire ā.īna-gar kā hai
thā 'mīr-jī' kā daur ġhanīmat ki un dinoñ
dastār hī kā Dar thā magar ab to sar kā hai
ye saare silsile the jab āñkhoñ meñ nuur thā
ab kis kā intizār kisī dīda-var kā hai
ġhālib hai ab buland sadā hī dalīl par
'sādiq' hamārā daur 'ajīb shor-o-shar kā hai
yun to har ek shaKHs hi talib samar ka hai
aisa bhi koi hai ki jise gham shajar ka hai
ye kaisa karwan hai ki ek ek gam par
sab sochte hain kya koi mauqa' safar ka hai
ye kaisa aasman hai ki jis ki fazaon mein
ek KHauf sa shikastagi-e-baal-o-par ka hai
ye kaisa ghar hai jis ke makinon ko har ghaDi
dhaDka sa ek larzish-e-diwar-o-dar ka hai
aankhon pe tirgi ka tasallut hai is qadar
kirnon pe ehtimal fareb-e-nazar ka hai
chehre ka koi dagh dikhai na de mujhe
ye mo'jiza 'ajab mere aaina-gar ka hai
tha 'mir-ji' ka daur ghanimat ki un dinon
dastar hi ka Dar tha magar ab to sar ka hai
ye sare silsile the jab aankhon mein nur tha
ab kis ka intizar kisi dida-war ka hai
ghaalib hai ab buland sada hi dalil par
'sadiq' hamara daur 'ajib shor-o-shar ka hai
- Book : Pakistani Adab (Pg. 572)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.