yun to har gam pe Thokar koi kha jata hun
yun to har gam pe Thokar koi kha jata hun
Anwar Nizami Jabalpuri
MORE BYAnwar Nizami Jabalpuri
yuuñ to har gaam pe Thokar koī khā jaatā huuñ
phir bhī ye azm mirā hai ki chalā jaatā huuñ
bārhā aise savālāt ne taḌpāyā hai
maiñ bhī kyā un ke ḳhayālāt pe chhā jaatā huuñ
koī hamrāh zarūrī hai har ik manzil tak
har qadam par rah-e-ulfat meñ girā jaatā huuñ
har kisī par na ayaañ ho ye mohabbat merī
maiñ tirī bazm se ḳhāmosh uThā jaatā huuñ
aaj kuchh soch ke mahfil meñ tirī aaya thā
ye nahīñ tujh ko gavārā to chalā jaatā huuñ
phir bulandī pe sitāra hai mirī ulfat kā
phir maiñ us shoḳh ke nazdīk huā jaatā huuñ
naaz qismat pe karūñ jitnā bhī kam hai 'anvar'
maiñ faqat aap kā dīvāna kahā jaatā huuñ
yun to har gam pe Thokar koi kha jata hun
phir bhi ye azm mera hai ki chala jata hun
barha aise sawalat ne taDpaya hai
main bhi kya un ke KHayalat pe chha jata hun
koi hamrah zaruri hai har ek manzil tak
har qadam par rah-e-ulfat mein gira jata hun
har kisi par na ayan ho ye mohabbat meri
main teri bazm se KHamosh uTha jata hun
aaj kuchh soch ke mahfil mein teri aaya tha
ye nahin tujh ko gawara to chala jata hun
phir bulandi pe sitara hai meri ulfat ka
phir main us shoKH ke nazdik hua jata hun
naz qismat pe karun jitna bhi kam hai 'anwar'
main faqat aap ka diwana kaha jata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.