yun to har hasin chehra ek gulab hota hai
yuuñ to har hasīñ chehra ik gulāb hotā hai
haañ magar tirā jalva lā-javāb hotā hai
mujh se kaisī ranjish hai ham-navā batā mere
kyoñ sitam mire dil par be-hisāb hotā hai
bijliyāñ jafāoñ kī kyoñ hamīñ pe girtī haiñ
rāt-din hamīñ pe kyoñ ye azaab hotā hai
zulf tere chehre par is tarah se hai jaise
badliyoñ ke jhurmuT meñ māhtāb hotā hai
chāñd rashk kartā hai dekh kar tirā chehra
jab kabhī tū rātoñ meñ be-naqāb hotā hai
baat dil kī kah dī hai aaj un se ai 'sāġhar'
dekhnā hai ab un kā kyā javāb hotā hai
yun to har hasin chehra ek gulab hota hai
han magar tera jalwa la-jawab hota hai
mujh se kaisi ranjish hai ham-nawa bata mere
kyon sitam mere dil par be-hisab hota hai
bijliyan jafaon ki kyon hamin pe girti hain
raat-din hamin pe kyon ye azab hota hai
zulf tere chehre par is tarah se hai jaise
badliyon ke jhurmuT mein mahtab hota hai
chand rashk karta hai dekh kar tera chehra
jab kabhi tu raaton mein be-naqab hota hai
baat dil ki kah di hai aaj un se ai 'saghar'
dekhna hai ab un ka kya jawab hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.