yun to har jang mein hum had se guzar jate hain
yun to har jang mein hum had se guzar jate hain
Mohammad Afzal Khan
MORE BYMohammad Afzal Khan
yuuñ to har jang meñ ham had se guzar jaate haiñ
lekin is 'ishq ke maidān meñ Dar jaate haiñ
ham to muddat se salāmat haiñ isī ātish meñ
log nazdīk bhī aate haiñ to mar jaate haiñ
aap jitnī bhī hifāzat se unheñ rakh liije
dil ke ā.īne bahut jald bikhar jaate haiñ
baat chāhe vo raqīboñ se kareñ lekin ham
un kā dīdār hī karne ko Thahar jaate haiñ
jis ko thoḌī bhī adākārī nahīñ aatī hai
saare ilzām usī shaḳhs ke sar jaate haiñ
hashr ke din to ye āñkhoñ ko lahū kar deñge
zaḳhm ye aise nahīñ haiñ ki jo bhar jaate haiñ
ye bahut hai ki ta'alluq ye ka.ī saal rahā
varna kitne to bas ik pal meñ mukar jaate haiñ
yaad sahrā kī satātī hai bahut gulshan meñ
yā'nī dīvāne ye ab lauT ke ghar jaate haiñ
yun to har jang mein hum had se guzar jate hain
lekin is 'ishq ke maidan mein Dar jate hain
hum to muddat se salamat hain isi aatish mein
log nazdik bhi aate hain to mar jate hain
aap jitni bhi hifazat se unhen rakh lije
dil ke aaine bahut jald bikhar jate hain
baat chahe wo raqibon se karen lekin hum
un ka didar hi karne ko Thahar jate hain
jis ko thoDi bhi adakari nahin aati hai
sare ilzam usi shaKHs ke sar jate hain
hashr ke din to ye aankhon ko lahu kar denge
zaKHm ye aise nahin hain ki jo bhar jate hain
ye bahut hai ki ta'alluq ye kai sal raha
warna kitne to bas ek pal mein mukar jate hain
yaad sahra ki satati hai bahut gulshan mein
ya'ni diwane ye ab lauT ke ghar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.