yun to hone ko aur kya na hua
yuuñ to hone ko aur kyā na huā
koī banda magar ḳhudā na huā
kisī kā ham se gar bhalā na huā
to yahī kam hai kyā burā na huā
sar jhukā.eñ kisī ke aage kyoñ
sajda-e-banda jab ravā na huā
jo nikal jaa.eñ āstīñ ke saañp
haath meñ apne vo asā na huā
sho.ala-e-barq sard jis ne kiye
nazr-e-ātish vo āshiyāna huā
tā-dam-e-marg tā.ir-e-hastī
dām-e-andoh se rihā na huā
yuuñ to taa.at meñ zindagī guzrī
dil magar apnā pārsā na huā
hāsil-e-bandagī jo ho 'maqsūd'
sajda aisā koī adā na huā
yun to hone ko aur kya na hua
koi banda magar KHuda na hua
kisi ka hum se gar bhala na hua
to yahi kam hai kya bura na hua
sar jhukaen kisi ke aage kyon
sajda-e-banda jab rawa na hua
jo nikal jaen aastin ke sanp
hath mein apne wo asa na hua
shoala-e-barq sard jis ne kiye
nazr-e-atish wo aashiyana hua
ta-dam-e-marg tair-e-hasti
dam-e-andoh se riha na hua
yun to taat mein zindagi guzri
dil magar apna parsa na hua
hasil-e-bandagi jo ho 'maqsud'
sajda aisa koi ada na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.