yun to hone ko mujhse kya na hua
yuuñ to hone ko mujh se kyā na huā
haañ kisī kā magar burā na huā
naam to ho gayā janāb un kā
kaam merā huā huā na huā
mujh ko ronā hai gar to bas is kā
merā ho kar bhī vo mirā na huā
tark-e-ulfat ko log kahte the
jiite jī ye mirā kiyā na huā
zad meñ us kī huuñ yā ilāhī aaj
tiir jis kā kabhī ḳhatā na huā
ishq meñ kaaT lī ga.ī gardan
ranj is kā magar zarā na huā
aaj us kā hai aasrā 'ālam'
kal agar us kā aasrā na huā
yun to hone ko mujh se kya na hua
han kisi ka magar bura na hua
nam to ho gaya janab un ka
kaam mera hua hua na hua
mujh ko rona hai gar to bas is ka
mera ho kar bhi wo mera na hua
tark-e-ulfat ko log kahte the
jite ji ye mera kiya na hua
zad mein us ki hun ya ilahi aaj
tir jis ka kabhi KHata na hua
ishq mein kaT li gai gardan
ranj is ka magar zara na hua
aaj us ka hai aasra 'alam'
kal agar us ka aasra na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.