yun to iqrar ka pahlu bhi hai inkar ke sath
yuuñ to iqrār kā pahlū bhī hai inkār ke saath
phir bhī dhaḌkā sā lagā rahtā hai iz.hār ke saath
ye alag baat ki ham dekh nahīñ paate haiñ
lag ke baiThā hai koī aaj bhī dīvār ke saath
rāsta ḳhāna-badoshoñ kā koī to nikle
baat uljhī huī rahtī hai zamīñ-dār ke saath
faisla vaqt kā jaatā hai kidhar dekheñge
jang jaarī hai abhī mauj kī patvār ke saath
us kī gardan kī hifāzat kī zamānat kyā hai
kheltā hai jo sadā ḳhanjar-o-talvār ke saath
varna behtar hai abhī ḳhatm kahānī ho jaa.e
zinda rahnā hai to phir 'azmat-o-kirdār ke saath
yun to iqrar ka pahlu bhi hai inkar ke sath
phir bhi dhaDka sa laga rahta hai izhaar ke sath
ye alag baat ki hum dekh nahin pate hain
lag ke baiTha hai koi aaj bhi diwar ke sath
rasta KHana-badoshon ka koi to nikle
baat uljhi hui rahti hai zamin-dar ke sath
faisla waqt ka jata hai kidhar dekhenge
jang jari hai abhi mauj ki patwar ke sath
us ki gardan ki hifazat ki zamanat kya hai
khelta hai jo sada KHanjar-o-talwar ke sath
warna behtar hai abhi KHatm kahani ho jae
zinda rahna hai to phir 'azmat-o-kirdar ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.