yun to jahan-panah ke maddah kam na the
yuuñ to jahāñ-panāh ke maddāh kam na the
achchhā huā zamīr-faroshoñ meñ ham na the
jo ranj mīr-e-shahr ko pohñchā vo ranj thā
jo ġham kisī ġharīb ne jhele vo ġham na the
āvāz de rahī thiiñ unheñ manzileñ magar
vo kyā qadam baḌhāte jo sābit-qadam na the
ik daur vo thā jab tah-e-teġh-e-asar the ham
yuuñ haath meñ qalam the ki jaise qalam na the
apnī hadoñ meñ apnā ujālā rahā ki ham
dahlīz kā diyā the charāġh-e-haram na the
fikr-e-jahāñ ne toḌ diyā varna ai 'bashīr'
ā.īna-sāz ham bhī zamāne meñ kam na the
yun to jahan-panah ke maddah kam na the
achchha hua zamir-faroshon mein hum na the
jo ranj mir-e-shahr ko pohncha wo ranj tha
jo gham kisi gharib ne jhele wo gham na the
aawaz de rahi thin unhen manzilen magar
wo kya qadam baDhate jo sabit-qadam na the
ek daur wo tha jab tah-e-tegh-e-asar the hum
yun hath mein qalam the ki jaise qalam na the
apni hadon mein apna ujala raha ki hum
dahliz ka diya the charagh-e-haram na the
fikr-e-jahan ne toD diya warna ai 'bashir'
aaina-saz hum bhi zamane mein kam na the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.