yun to kahne ko mere KHun ke pyase hain sabhi
yuuñ to kahne ko mire ḳhuun ke pyāse haiñ sabhī
sar qalam kaun karegā ki nihatte haiñ sabhī
kal jo masjid meñ ga.e ham to ye mahsūs huā
ek ham hī haiñ gunahgār farishte haiñ sabhī
ab ye kyoñ merī zabāñ kaaT rahe ho sāhab
tum to kahte the ki is shahr meñ gūñge haiñ sabhī
qad baḌhā de mirā yā shāḳhoñ ko nīchā kar de
jis qadar phal haiñ mire haath se ūñche haiñ sabhī
ḳhud ko ab bechne nikloge to jāoge kahāñ
jitne bāzār meñ sikke haiñ vo khoTe haiñ sabhī
yun to kahne ko mere KHun ke pyase hain sabhi
sar qalam kaun karega ki nihatte hain sabhi
kal jo masjid mein gae hum to ye mahsus hua
ek hum hi hain gunahgar farishte hain sabhi
ab ye kyon meri zaban kaT rahe ho sahab
tum to kahte the ki is shahr mein gunge hain sabhi
qad baDha de mera ya shaKHon ko nicha kar de
jis qadar phal hain mere hath se unche hain sabhi
KHud ko ab bechne nikloge to jaoge kahan
jitne bazar mein sikke hain wo khoTe hain sabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.