yun to main hun falak us jahan ke liye
yuuñ to maiñ huuñ falak us jahāñ ke liye
par zamīñ huuñ isī āsmāñ ke liye
zehn us zaat se bach ke chaltā rahā
dil ne jis naam par Dheroñ Tāñke liye
siina jaltā rahā ek siine ko aur
kaan khiñchne lage ek haañ ke liye
āstānoñ kī ḳhātir hai merā ye sar
merā sar to nahīñ āstāñ ke liye
tum bahāroñ kī mahfil meñ ho sadr aur
ham ḳhizāñ ham ḳhizāñ bas ḳhizāñ ke liye
yun to main hun falak us jahan ke liye
par zamin hun isi aasman ke liye
zehn us zat se bach ke chalta raha
dil ne jis nam par Dheron Tanke liye
sina jalta raha ek sine ko aur
kan khinchne lage ek han ke liye
aastanon ki KHatir hai mera ye sar
mera sar to nahin aastan ke liye
tum bahaaron ki mahfil mein ho sadr aur
hum KHizan hum KHizan bas KHizan ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.