yun to meri zat har pal dar-ba-dar hoti rahi
yuuñ to merī zaat har pal dar-ba-dar hotī rahī
aañkh lekin sahn-e-husn-e-yār par rakkhī rahī
baa'd tere ḳhvāb bhī sab barhana hote rahe
aur in nīñdoñ kī bhī ‘ismat-darī hotī rahī
ik do-rāhe par khaḌe do saa.e lahrāte rahe
duur jangal meñ kahīñ ik bāñsurī bajtī rahī
der-pā kyā naqsh ho jab shah-rag-e-kaunain par
ek shamshīr-e-taġhayyur har ghaḌī laTkī rahī
aaj bhī saare sitāre uñgliyoñ par gin liye
aaj ke bhī ratjage kī naukrī achchhī rahī
be-sabātī-e-jahāñ aur rā.egānī-e-hayāt
ek bahlātī rahī aur ek bahkātī rahī
hijr kasb-e-zāt kā mo’jiz-numā hotā rahā
aur ham ko rafta-rafta apnī yaad aatī rahī
maiñ charāġh-e-be-ḳhatar har daur meñ raushan rahā
mujh se nisbat āñdhiy.oñ kī sirf fariyādī rahī
yun to meri zat har pal dar-ba-dar hoti rahi
aankh lekin sahn-e-husn-e-yar par rakkhi rahi
ba'd tere KHwab bhi sab barhana hote rahe
aur in nindon ki bhi ‘ismat-dari hoti rahi
ek do-rahe par khaDe do sae lahraate rahe
dur jangal mein kahin ek bansuri bajti rahi
der-pa kya naqsh ho jab shah-rag-e-kaunain par
ek shamshir-e-taghayyur har ghaDi laTki rahi
aaj bhi sare sitare ungliyon par gin liye
aaj ke bhi ratjage ki naukri achchhi rahi
be-sabaati-e-jahan aur raegani-e-hayat
ek bahlati rahi aur ek bahkati rahi
hijr kasb-e-zat ka mo’jiz-numa hota raha
aur hum ko rafta-rafta apni yaad aati rahi
main charagh-e-be-KHatar har daur mein raushan raha
mujh se nisbat aandhiyon ki sirf fariyaadi rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.