yun to sab ke liye kya kya na ishaare nikle
yuuñ to sab ke liye kyā kyā na ishāre nikle
mire hisse meñ to ab ke bhī ḳhasāre nikle
mujh meñ ik roz koī qatl huā thā aur phir
mirī āñkhoñ se bahut ḳhuun ke dhāre nikle
apne jaisī koī tasvīr banānī thī mujhe
mire andar se sabhī rang tumhāre nikle
maiñ ne samjhā thā ki nam-ḳhurda hai merī miTTī
chhū ke dekhā to tah-e-ḳhāk sharāre nikle
ahl-e-duniyā se koī jang thī dar-pesh hameñ
ham bhī kyā log the ḳhvāboñ ke sahāre nikle
lauT kar aa ga.e sahrā kī taraf āḳhir-kār
sab tire shahr meñ tanhā.ī ke maare nikle
maiñ ne mahsūs kiyā hī thā tujhe aaj kī shaam
raat jab aa.ī to palkoñ pe sitāre nikle
yun to sab ke liye kya kya na ishaare nikle
mere hisse mein to ab ke bhi KHasare nikle
mujh mein ek roz koi qatl hua tha aur phir
meri aankhon se bahut KHun ke dhaare nikle
apne jaisi koi taswir banani thi mujhe
mere andar se sabhi rang tumhaare nikle
main ne samjha tha ki nam-KHurda hai meri miTTi
chhu ke dekha to tah-e-KHak sharare nikle
ahl-e-duniya se koi jang thi dar-pesh hamein
hum bhi kya log the KHwabon ke sahaare nikle
lauT kar aa gae sahra ki taraf aaKHir-kar
sab tere shahr mein tanhai ke mare nikle
main ne mahsus kiya hi tha tujhe aaj ki sham
raat jab aai to palkon pe sitare nikle
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 106)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 110)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.