yun to sab saman paDa hai
yuuñ to sab sāmān paḌā hai
lekin ghar vīrān paḌā hai
shahr pe jaane kyā biitī hai
har rasta sunsān paḌā hai
zinda huuñ par koī mujh meñ
muddat se be-jān paḌā hai
tabhī chaleñ haiñ is qāfile vaale
jab rasta āsān paḌā hai
shā.er kāñToñ par jiitā thā
phūloñ par dīvān paḌā hai
mere ghar ke darvāze par
merā hī sāmān paḌā hai
yaar 'shajar' duniyā kā fasāna
kab se be-unvān paḌā hai
yun to sab saman paDa hai
lekin ghar viran paDa hai
shahr pe jaane kya biti hai
har rasta sunsan paDa hai
zinda hun par koi mujh mein
muddat se be-jaan paDa hai
tabhi chalen hain is qafile wale
jab rasta aasan paDa hai
shaer kanTon par jita tha
phulon par diwan paDa hai
mere ghar ke darwaze par
mera hi saman paDa hai
yar 'shajar' duniya ka fasana
kab se be-unwan paDa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.