yun to unki mehrbani aur hai
yuuñ to un kī mehrbānī aur hai
dil ke zaḳhmoñ kī nishānī aur hai
un kī mahfil maqtal-e-sad-ārzū
par hamārī saḳht-jānī aur hai
aa.ine ko rakh liyā hai rū-ba-rū
be-zabānī meñ kahānī aur hai
kam thiiñ kyā ham par zamīñ kī saḳhtiyāñ
kyoñ balā-e-āsmānī aur hai
hote hote rah gayā un kā karam
shāyad apnī zindagānī aur hai
tum uThāo saaz maiñ chheḌūñ ġhazal
aaj mahfil par javānī aur hai
ye bhī ik turfa tamāsha hai 'farīd'
pyaar par ik bad-gumānī aur hai
yun to un ki mehrbani aur hai
dil ke zaKHmon ki nishani aur hai
un ki mahfil maqtal-e-sad-arzu
par hamari saKHt-jaani aur hai
aaine ko rakh liya hai ru-ba-ru
be-zabani mein kahani aur hai
kam thin kya hum par zamin ki saKHtiyan
kyon bala-e-asmani aur hai
hote hote rah gaya un ka karam
shayad apni zindagani aur hai
tum uThao saz main chheDun ghazal
aaj mahfil par jawani aur hai
ye bhi ek turfa tamasha hai 'farid'
pyar par ek bad-gumani aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.