yun to wo dard-ashna bhi hain
yun to wo dard-ashna bhi hain
Syed Nawab Haider Naqvi Rahi
MORE BYSyed Nawab Haider Naqvi Rahi
yuuñ to vo dard-āshnā bhī haiñ
paas rahte hue judā bhī haiñ
jashn-e-āzādgī bapā kiije
kāsa-bardār rahnumā bhī haiñ
hai safīna asīr-e-mauj-e-balā
yuuñ to kahne ko nāḳhudā bhī haiñ
yār-e-be-mehr se gila bhī hai
us se masrūf-e-iltijā bhī haiñ
zindagī par hai iḳhtiyār un kā
bandagān-e-ḳhudā ḳhudā bhī haiñ
us ke dukh-dard meñ sharīk rahe
dil-zada dil kā aasrā bhī haiñ
yun to wo dard-ashna bhi hain
pas rahte hue juda bhi hain
jashn-e-azadgi bapa kije
kasa-bardar rahnuma bhi hain
hai safina asir-e-mauj-e-bala
yun to kahne ko naKHuda bhi hain
yar-e-be-mehr se gila bhi hai
us se masruf-e-iltija bhi hain
zindagi par hai iKHtiyar un ka
bandagan-e-KHuda KHuda bhi hain
us ke dukh-dard mein sharik rahe
dil-zada dil ka aasra bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.