Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun to yusuf se hasin aur jawan the pahle

Mansha ur Rahman Khan Mansha

yun to yusuf se hasin aur jawan the pahle

Mansha ur Rahman Khan Mansha

MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha

    yuuñ to yūsuf se hasīñ aur javāñ the pahle

    aap se log zamāne meñ kahāñ the pahle

    roz-e-avval se haiñ ham soḳhta-dil kushta-e-ġham

    aaj jaise haiñ yūñhī sho.ala-ba-jāñ the pahle

    ishq ne khol diye ham pe vo asrār-e-hayāt

    jo zamāne nigāhoñ se nihāñ the pahle

    āḳhir aanā paḌā lauT ke terī jānib

    qāfile dil ke ba-har-samt-e-ravāñ the pahle

    un bahāroñ ko ajab rañg meñ paayā ham ne

    jin se vābasta hasīñ vahm-o-gumāñ the pahle

    vo siyah-baḳht yahāñ mahv-e-fuġhāñ aaj bhī haiñ

    jo siyah-baḳht yahāñ mahv-e-fuġhāñ the pahle

    marhale ishq ke āsān samajh baiThe the

    'manshā' ham log bhī kyā sāda-gumāñ the pahle

    yun to yusuf se hasin aur jawan the pahle

    aap se log zamane mein kahan the pahle

    roz-e-awwal se hain hum soKHta-dil kushta-e-gham

    aaj jaise hain yunhi shoala-ba-jaan the pahle

    ishq ne khol diye hum pe wo asrar-e-hayat

    jo zamane ki nigahon se nihan the pahle

    aaKHir aana hi paDa lauT ke teri jaanib

    qafile dil ke ba-har-samt-e-rawan the pahle

    un bahaaron ko ajab rang mein paya hum ne

    jin se wabasta hasin wahm-o-guman the pahle

    wo siyah-baKHt yahan mahw-e-fughan aaj bhi hain

    jo siyah-baKHt yahan mahw-e-fughan the pahle

    marhale ishq ke aasan samajh baiThe the

    'mansha' hum log bhi kya sada-guman the pahle

    Source :
    • Nawa-e-Dil
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now