yun tumne jo hans kar mujhe dekha nahin hota
yun tumne jo hans kar mujhe dekha nahin hota
Abdus Sami Siddiqui Naeem
MORE BYAbdus Sami Siddiqui Naeem
yuuñ tum ne jo hañs kar mujhe dekhā nahīñ hotā
maiñ ne bhī qadam apnā baḌhāyā nahīñ hotā
vo husn kā qissa na adāoñ kī kahānī
mā'sūm koī shahr meñ rusvā nahīñ hotā
ye phuul bhī ḳhush-rang kahāñ hote nazar meñ
gulshan se kabhī yaar jo guzrā nahīñ hotā
nīñdeñ na kabhī aañkh se yuuñ ruuTh ke jātīñ
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb samāyā nahīñ hotā
phir lazzat-e-girya se kahāñ hotā ta'āruf
phir vus’at-e-sahrā ko bhī sochā nahīñ hotā
hargiz na sulagtā ḳhas-o-ḳhāshāk kā jangal
sho'la jo tire lams kā paayā nahīñ hotā
bārish ne kabhī aag lagā.ī nahīñ hotī
ḳhvāhish ne kabhī ham ko bhigoyā nahīñ hotā
ye rang kahāñ hotā 'na'īm' apnī ġhazal meñ
gar aaj ravāñ yaad kā dariyā nahīñ hotā
yun tum ne jo hans kar mujhe dekha nahin hota
main ne bhi qadam apna baDhaya nahin hota
wo husn ka qissa na adaon ki kahani
ma'sum koi shahr mein ruswa nahin hota
ye phul bhi KHush-rang kahan hote nazar mein
gulshan se kabhi yar jo guzra nahin hota
ninden na kabhi aankh se yun ruTh ke jatin
aankhon mein koi KHwab samaya nahin hota
phir lazzat-e-girya se kahan hota ta'aruf
phir wus’at-e-sahra ko bhi socha nahin hota
hargiz na sulagta KHas-o-KHashak ka jangal
sho'la jo tere lams ka paya nahin hota
barish ne kabhi aag lagai nahin hoti
KHwahish ne kabhi hum ko bhigoya nahin hota
ye rang kahan hota 'na'im' apni ghazal mein
gar aaj rawan yaad ka dariya nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.