yun wo ba-har lihaz mere bhaiyon mein tha
yuuñ vo ba-har lihāz mire bhā.iyoñ meñ thā
ye aur baat hai ki tamāshā.iyoñ meñ thā
kuchh mahfiloñ meñ thā na shanāsā.iyoñ meñ thā
jo lutf-e-anjuman mirī tanhā.iyoñ meñ thā
jalte hue makān kī khiḌkī se jhāñk kar
dekhā to vo bhī shahr ke balvā.iyoñ meñ thā
dīvār-o-dar se jhāñk rahī thiiñ nahūsateñ
aaseb kis tarah kā ye añgnā.iyoñ meñ thā
yun wo ba-har lihaz mere bhaiyon mein tha
ye aur baat hai ki tamashaiyon mein tha
kuchh mahfilon mein tha na shanasaiyon mein tha
jo lutf-e-anjuman meri tanhaiyon mein tha
jalte hue makan ki khiDki se jhank kar
dekha to wo bhi shahr ke balwaiyon mein tha
diwar-o-dar se jhank rahi thin nahusaten
aaseb kis tarah ka ye angnaiyon mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.